Roman script

mehfil mein baar baar un pe nazar gayi

hey, mehfil mein baar baar un pe nazar gayi

humne bachaayi laakh, phir bhi udhar gayi

main kya karoon, dil kya kare, main kya karoon

mehfil mein baar baar un pe nazar gayi

haan, mehfil mein baar baar un pe nazar gayi

humne bachaayi laakh, phir bhi udhar gayi

main kya karoon, dil kya kare, main kya karoon

ye mausam aaya hai dilbar kitne saal mein

mera dil khoya hai tere hi khayaal mein

na to mera dosh hai, na tera qusoor hai

mujhpe jo chhaaya hai tera ye suroor hai

aayi tu saamne, dhadkan thaher gayi

hey, aayi tu saamne, dhadkan thaher gayi

humne bachaayi laakh, phir bhi udhar gayi

main kya karoon, dil kya kare, main kya karoon

soldier soldier, meethi baatein bolkar

dil tu chura le gaya

soldier soldier, meethi baatein bolkar

dil tera uda le gaya

tanhaai kehti hai, kuch bhi na kehna hai

baahon mein sona hai, palkon mein rehna hai

saanson ko baandha hai saanson ki dor se

tode na tootegi duniya ke zor se

daaman mein tootke main to bikhar gayi

haan, daaman mein tootke main to bikhar gayi

humne bachaayi laakh, phir bhi udhar gayi

main kya karoon, dil kya kare, main kya karoon

mehfil mein baar baar un pe nazar gayi

hey, mehfil mein baar baar un pe nazar gayi

humne bachaayi laakh, phir bhi udhar gayi

main kya karoon, dil kya kare, main kya karoon

Explore this song