Roman script

mehanga ho ya sasta ho

par sauda kar lo pyar ka

o khali fera kabhi na karna

ulfat ke bajar ka

ulfat ke bajar ka

khali fera kabhi na karna

ulfat ke bajar ka

ulfat ke bajar ka

aaj talak naa aankh uthakar

kisi ne hamko dekha

nahi hai apne hath me jaise

koi pyar ki rekha

o raay tumhari galat hai bandhu

raay tumhari galat hai bandhu

hame to dar hai maar ka

hame to dar hai maar ka

khaali fera kabhi na karna

ulfat ke bajar ka

ulfat ke bajar ka

are bhai hamari bhi to suno

roj hasino ki galiyo me

hamne chakkar mare

kisi ne hamse ye na puchha

kaun ho tum bechare

o chalte chalte jute ghees gaye

chalte chalte jute ghees gaye

rog laga bekar ka

rog laga bekar ka

khali fera kabhi na karna

ulfat ke bajar ka

ulfat ke bajar ka

pet tumhara jaise matka

tum ho mote bhainse

fir najuk dilwalo ki

aankho me rahoge kaise

ye bedhanga jism ghata ke

karo irada pyar ka

karo irada pyar ka

mehanga ho ya sasta ho

par sauda kar lo pyar ka

o khali fera kabhi na karna

ulfat ke bajar ka

ulfat ke bajar ka

Explore this song