Roman script

maut aa gayi na aaye vo marne ke baad bhi

aankhe tarasi rah gayi is intazaar me

kaahe ko der lagaayi re aaye na ab tak baalma

hamne to jaan ganvaayi re aaye na ab tak baalma

kaahe ko der lagaayi re aaye na ab tak baalma

meri dua naakam huyi hai suraj duba shaam huyi hai

pehne qafan jayegi muhabbat dil ki lagi badnam huyi hai

hansati hai saari khudaayi re aaye na ab tak baalma

kaahe ko der lagaayi re aaye na ab tak baalma

duniya yu hi royegi aayengi kushiya gam bhi sahegi

lekin meri barbaad javaani mit ke bhi unse yahi kahegi

hamse to ki bevafaayi re aaye na ab tak baalma

kaahe ko der lagaayi re aaye na ab tak baalma

rang ye laayi chaahat kisi ki yaad rahegi ulfat kisi ki

meri kasam tujhe 

meri kasam tujhe e maut thahar ja dekh to lu surat kisi ki

hamne to prit nibhaayi re aaye na ab tak baalma

kaahe ko der lagaayi re aaye na ab tak baalma

hamne to jaan ganvaayi re aaye na ab tak baalma

Explore this song