Roman script

matwala sawan aaya masti ka mausam laya

jhum jhum ke dil mera gane laga

papiha pi pi bole kano me ras ghole

sanso me pyar gungunane laga gungunane laga

oho ho matwala sawan aaya

chede hai kisne murli ki dhun faili jo thirkan sanso me

rang anokhe bhar diye kisne bholi bhali adao me

koyal bela mastana hoga tera diwana

dur dur se jisko ye bulane laga

oho ho matwala sawan aaya

chalke gagariya barse badariya fir bhi najariya pyasi kyu

tu pyasi hai pi ke milan ki samjhe na bat jara si kyu

ye thandi thandi aahe khoi khoi nigahe

kahti hai koi tadpane laga oho ho matwala sawan aaya

chalana sambhal ke lut na jaye prem nagar ki raho me

aaj kisi par mar mitne ki chah jagi hai nigaho me

ye lachki lachki dale ye bahki bahki chale

tan man mera dagmagane laga

tan man mera dagmagane laga

papiha pi pi bole kano me ras ghole

sanso me pyar gungunane laga 

oho ho matwala sawan aaya matwala sawan aaya

Explore this song