Roman script

hum aah bhi bharte hai to ho jate hai badnam

ha wo katl bhi karte hai to charcha nahi hota

matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai

matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai

dhokha de dete hai wahi jin par ke bharosa hota hai

khun-e-jigar se baag ko sicha phul khile to aag lagi

khun-e-jigar se baag ko sicha phul khile to aag lagi

jal hi gayi jab sari duniya rone se ab kya hota hai

matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai

baag me sair ko aaye the ek daag jigar me leke chale

baag me sair ko aaye the ek daag jigar me leke chale

ranginiyo me bhul gaye har phul me kaanta hota hai

matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai 

behoshiyo me dil kho baithe jab 

hosh aaya to ye samjhe, aa aa aa 

behoshiyo me dil kho baithe 

jab hosh aaya to ye samjhe

sab jisko mohabbat kahte hai 

sab jisko mohabbat kahte hai 

darasal wo dhokha hota hai

matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai

dhokha de dete hai eahi jin par ke bharosa hota hai

Explore this song