Roman script

lagi mast nazar ki kataar

mast nazar ki kataar dil ke utar gayi paar

in pyaar ki raaho me, in pyaar ki raaho me

dil bhi gaya ham bhi gaye zakhm-e-jigar hai bahaar

mast nazar ki kataar

chehra chamakila suraj ho jaise pyaar ka

baahe laharaati naksha hai ik talvaar ka

ham to lut gaye

ham to lut gaye, khushi se ham to lut gaye

khaamosh nazaaro me, khaamosh nazaaro me

pyaasi ada jis pe fida, ham to hue sau baar

mast nazar ki kataar

mast nazar ki kataar dil ke utar gayi paar

in pyaar ki raaho me, in pyaar ki raaho me

dil bhi gaya ham bhi gaye zakhm-e-jigar hai bahaar

mast nazar ki kataar

khushbu zulfo ki aati hai sard havaao se

khoya chaahat me ab guzaru hu jis gaav se

yaade gher le

yaade gher le, hamko yaade gher le

jangal ki fizaao me, jangal ki fizaao me

vo jo nahi phika lage, rang bhara sansaar

mast nazar ki kataar dil ke utar gayi paar

in pyaar ki raaho me, in pyaar ki raaho me

dil bhi gaya ham bhi gaye zakhm-e-jigar hai bahaar

mast nazar ki kataar dil ke utar gayi paar

in pyaar ki raaho me, in pyaar ki raaho me

dil bhi gaya ham bhi gaye zakhm-e-jigar hai bahaar

mast nazar ki kataar

Explore this song