Roman script

mashur hai riwayat rahte the pirwa hum 

gaawn mein arab ke mir jaao mirwa hum 

mir jaa aamir fika kasa bahim bhikha 

miran ko mufli si thi soke afim bhi tha 

ek roz bola mirza miran se haj ko jaye 

dirhum hai jo mere vo sar se mein milke laye 

dono le dil mein haj tha ajme wahilana 

hatho mein hath dekar paidal huye rawana 

dono the khushi akaak miran se murdni thi 

dekha to dabbiya bilkul khali afim ki thi 

bola na ho jo jiski kaise kadam uthaun 

vo gaawn samne hai thahro afim laun 

pehro ke baad bhi jab wapas na mir aaya 

mirza ne tang aakar apna kadam badhaya 

pahucha jo haj ko mirza dekha ajib manjar 

be ikhtiyaar aaye toba ke lbj par 

aswad ke gird dekha hal prem roshni ke 

sab hathiyo ke aage miran tabaf mein the 

khush hokar doda mirza lekin mila na miran 

har karwa mein dekha lekin mila na miran 

lauta jo gaawn mirza miran mila wahi par 

bola ye mir se wo kya raaz hai ayakar 

jab tum nahi the haj mein kya ruh haj ko aayi 

miran ne has ke usko ru dad yu sunayi 

main ho ki tum se rukhtak us gaawn mein jo pahucha 

chhaya tha kehar uspar viran ho raha tha 

ek aur gaawn jakar aaseki lekar boli 

louta usi makan par aur khud pakayi roti 

bachho ke baad budho ko phifr jawan ko di 

khud apne hath se yu pahuchayi sabko roti 

wapas chala to bola ek pir jane wale 

jaoge humko karke kya maut ke hawale 

ye sunke thoda douda phir paaw dagmagaye 

dil aur apneyu mujhko sabak padhaye 

dil ne kaha ki hak ka kabahi ghar nahi hai 

dekhu koi bata de allah kidhar hai 

sunke main dil ki roya kuch der ladkhdaya 

sar tab baigam ko phir apna kadam badhaya 

takdir ki kuch aesi har shabd sath aaya 

jo ujre gaawn aaya khurak sath laya 

milkar sabhi ne chasme se nehr khod dala 

yu dono bastiyo par pani ki good dali 

is kaam se jo nipta din haj ka aa gaya tha 

kaise ubur karta do din ka rasta tha 

yu duaa khudaya mainay ka saza hai 

lekin dikhaw kudrat kawe ke paas pahuche 

itne mein aankh jhapti ek nur ka tha jalwa 

irsad kar rahe the kuch yu rasul allah 

wada tha hsr akbar ka tujh se humne bhule 

aaya vo sang aswan use aur badh ke chhu le 

sodaye sajda lekar jo sar jaha jhuka hai 

apni jagah se hatkar wakab aa gaya 

vo dekh hidr tere khud kab ghumta hai

makke ka zarra zarra kadmo ko chumata hai 

jis khak par ek aansu maljnu ka gira hia 

jalwa wahi khuda ka aakar simat gaya hai

Explore this song