Roman script

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

are man to hai ek udta panchi jitna ude udalo

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

man jo kahe ke pyar karo

ek bar nahi sau bar karo

ye pyar diya usne nibhane ke liye

aji pyar diya usne nibhane ke liye 

rup diya sirf dikhane ke liye

aankhe banai hai ladane ke liye to

dil diya usne milane ke liye

are pyar ek punya hai pyar hai jap

nahi hota to bhi karo apne aap

pyar koi paap nahi pyar hai milap

pyar bina jiwan hai total flop

punya paap ke chakkar me koi

pad ke sake na bach kyu re chele jhuth kaha

nahi guru ji bilkul sach thank you very much

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

man kahe agar wishky piyo

phir jiski mile tum uski piyo

are pine ki chiz hai ye karo mat gam

bhai pine ki chiz hai ye karo mat gam

kabhi nahi sochna ke tharra ya ram

itni piyo ke ukhad jaye dum

batli mile to batli khatam

are jab whishky se man bhar jayega

bhar jayega to tauba kar jayega

man pe jo koi kabu kar jayega

bhav sagar se wo tar jayega

moti akal wale na samjhe meri bat barik hai

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

man ko pinjre me na dalo

dhili chhod  do man ki lagam

amar ho jaye jag me naam

kaise jiske man ne kiya fly hai

jiske man ne kiya fly hai 

usne dekho mukti payi hai jaise radha meera bai hai

dono ko hi mila karishan kanhai hai

par jis jis ka man atak gaya 

wo raho me bhatak gaya

agar jara ye khatak gaya 

to samjho prani latak gaya

ye to hai ek udan kabutar iska udna fact hai

q ji foriener wrong hai no sir correct hai

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

are man to hai ek udta panchi jitna ude udalo

man ko pinjre me na dalo

man ka kahna mat taalo

Explore this song