Roman script

man ke andhiyare aangan me

jyot jalaye rakhna

man ke andhiyare aangan me

jyot jalaye rakhna

tan man sada rahe aanandit

tan man sada rahe aanandit

prabhuji kripa karna

man ke andhiyare aangan me

jyot jalaye rakhna

tan nirmal ho, man sheetal ho

jaise jal ki dhara

tan nirmal ho, man sheetal ho

jaise jal ki dhara

prabhu bhakti se bhar jaye ab

man ka kalash humara

man me mere sada samarpan

man me mere sada samarpan

shakti tan me bharna

man ke andhiyare aangan me

jyot jalaye rakhna

mere ishwar, mere daata

mera bhagay banao

mere ishwar, mere daata

mera bhagay banao

aan pada hu charno me tere

mujhko tum apnano

daas narayan kare nivedan

daas narayan kare nivedan

sare sankat harna

man ke andhiyare aangan me

jyot jalaye rakhna

tan man sada rahe aanandit

tan man sada rahe aanandit

prabhuji kripa karna

man ke andhiyare aangan me

jyot jalaye rakhna

Explore this song