Roman script

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

thoda sa samjotaa jaanam karna padta hain

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

kabhi kabhi kuch is had tak

badh jaati hain lachaari

kabhi kabhi kuch is hadtak

badh jaati hain lachaari

lagta hain ye jeevan jaise, bojh ho koi bhaari

dil kehata hain roye

dil kehata hain roye, lekin hasna padta hain

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

kabhi kabhi itani dhundhali

ho jaati hain tasveere

kabhi kabhi itani dhundhali

ho jaati hain tasveere

patta nahi chalta kadmon me, kitani hain zanjeere

paaon bandhe hote hain 

paaon bandhe hote hain phir bhi chalna padta hain

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

ruth ke jaane waala baadal

tutne waala taara

ruth ke jaane waala baadal

tutne waala taara

kisko khabar in lamhon me, bann jaaye koi sahara

duniya jaisi bhi ho

duniya jaisi bhi ho rishta rakhna padta hain

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

thoda sa samjotaa jaanam karna padta hain

majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

Explore this song