Roman script

dard bana har libash mera

ab gham ko odh ke sota hoon

dard bana har libash mera

ab gham ko odh ke sota hoon

maayusiyon ke bistar pe

khamosh hoke rota hoon

sochta hoon sada

maine pyaar kyun kiya?

aitbaar kyun kiya?

maine pyaar kyun kiya?

mere sisakne ki sadayein

kaash hawa ye sun leti

mere sisakne ki sadayein

kaash hawa ye sun leti

bechainiyon ke baago mein woh

rahat ki kaliyan bun deti

ishq ki nakaami ko ab main

sir pe leke dhoota hoon

sochta hoon sada

maine pyaar kyun kiya?

aitbaar kyun kiya?

maine pyaar kyun kiya?

waqt mere hathon mein aake

kyun aise hi fisal gaya

hmm waqt mere hathon mein aake

kyun aise hi fisal gaya

karke wada umra bhar ka

kyun ab jaan badal gaya

andhero se shikva nahi

roshani se naraz ab rehta hoon

sochta hoon sadaa

maine pyar kyun kiya

aitbaar kyun kiya

maine pyar kyun kiya.

Explore this song