Roman script

maine jisko chaha mil gaya 

chain jab se aaya dil gaya

dekhke tumharee yeh ada

janeman huyee mai toh fida

maine jisko chaha mil gaya 

chain jab se aaya dil gaya

dekhke tumharee yeh ada 

janeman huwa mai toh fida

mujhe karde pagal yeh aankho kaa kajal

divana kare yeh hansee

teree uthtee jhukatee yeh katil nigahe 

sikhane lagee aashiqee

mujhe jhumne de tujhe chumne de

hai mauka bada dilnashin

bekhabar tujhe naa yeh pata 

mere ishq kaa hai yeh nasha

maine jisko chaha mil gaya

mohabbat hu mai mujhko lab se laga le

bujha le too dhadkan kee pyas

gulabo ke saye khayalo pe chhaye

naa kanta koyee aas pas

teraa ishq dil me chubhe lamha lamha

too jan meree mai teree sans

rang aisa chhalka pyar kaa

yeh jamana sara hil gaya

maine jisko chaha mil gaya

lyrics typed by: neha gupta

Explore this song