Roman script

main ne jharokhe se kyun jhaanka, main kitni naadaan

saamne chhat se dekh rahaa thha, mujhko wo be-imaan

main mar gayi, mushqil me pad gayi jaan

haay haay

mushqil me pad gayi jaan, chal gaye

nainon ke teer kamaan, main mar gayi

mushqil me pad gayi jaan

haay haay

mushqil me pad gayi jaan

wo roz chhat par aane lagaa, aane lagaa

haathon se haay dil jaane lagaa, jaane lagaa

ban ke hawaa ka jhonka koyi

zulfien meri bikhraane lagaa, bikhraane lagaa

ulfat mein hai dhokhaa

na ja na ja maine roka

par thhehra na dil anjaan

main mar gayi,mushqil me pad gayi jaan

haay haay

mushkil me pad gayi jaan, chal gaye

nainon ke teer kamaan, main mar gayi

mushqil me pad gayi jaan

koshish bahut ki uss ne magar, uss ne magar

milne nahin di maine nazar, main ne nazar

ik roz lekin tauba meri

baithi huyi thhi mai be khabar

mai be khabar, aise me wo aa ke

meri aankhon me samaa ke

ban baithha mera mehmaan

main mar gayi, mushqil mein pad gayi jaan

haay haay

mushqil me pad gayi jaan, chal gaye

nainon ke teer kamaan, main mar gayi

mushqil me pad gayi jaan

haay haay

mushqil me pad gayi jaan

Explore this song