Roman script

maine dekha hai sapna bahar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
haye mere dil ne tarana chheda pyar ka
main na samjhu, main na jaanu
koi bataye, mujhe kya ho gaya hai
jhukti jaye meri palke
baithe bithye mera dil kho gaya hai
dil kho gaya hai
rang aankho me jhalke khumar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
haye mere dil ne tarana chheda pyar ka
maine dekha hai sapna bahar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
chupke chupke maine apne 
dil me basa li hai, duniya nirali
mere arma khil gaye hai 
jab se mila hai, mujhe bagiya ka maali
bagiya ka maali 
haal puchho na dil e bekarar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
maine dekha hai sapna bahar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
pyar banke aane wala 
laya hai mere liye, nagme khushi ke
zindagi ne rang badla 
ab na lagenge, mujhe din fike fike 
din fike fike 
yahi mausam hai, mere singar ka
o mere dil ne tarana chheda pyar ka
haye mere dil ne tarana chheda pyar ka
maine dekha hai sapna bahar ka
haye mere dil ne tarana chheda pyar ka

Song details

Song video

Watch on YouTube