Roman script

mai ye sochkar uske dar se utha tha

ke vo rok legi mana legi mujhko

havaao me laharata aata tha daaman

ke daaman pakadkar bitha legi mujhko

kadam aise andaaz se uth rahe the

ke aavaaz dekar bula legi mujhko

magar usne roka, na usne manaaya

na daaman hi pakda, na mujhko bithaaya

na aavaaz hi di, na vaapas bulaaya

mai aahista aahista badhata hi aaya

yaha tak ke us se juda ho gaya mai

yaha tak ke us se juda ho gaya mai

juda ho gaya mai, juda ho gaya mai

juda ho gaya mai, juda ho gaya mai

Explore this song