Roman script

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha 

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha 

tu hi tu hai sanam dekhta hu jaha

nind aati nahi yad jati nahi 

nind aati nahi yad jati nahi 

bin tere abb jiya jaye naa

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha

waqt jaise thehar gaya hai yahi 

har taraf ek ajab udasi hai

bekarari kaa aisa aalam hai 

jism tanha hai ruh pyasi hai

teree surat ab ek pal kyu najar se hatati nahi

rat din toh kat jate hain, umr tanha katati nahi

chah ke bhi naa kuchh kah saku tujhse mai

chah ke bhi naa kuchh kah saku tujhse mai 

dard kaise karu mai baya

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha

jab kahi bhi aahat huyi, yu laga ke tu aa gaya

khushbu ke jhonke ki tarah meri sanse mahka gaya

ek woh daur tha, ham sada pas the

ek woh daur tha, ham sada pas the

ab toh hain fasle darmiya

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha

biti bate yad aati hain, jab akela hota hu mai

bolti hai khaamoshiya, sabse chhupke rota hu mai

ek arsa huwa muskuraye huye

ek arsa huwa muskuraye huye, aansuo me dhali dastan

mai yaha tu waha, jindagi hai kaha

tu hi tu hai sanam dekhta hu jaha

nind aati nahi, yad jati nahi

nind aati nahi, yad jati nahi

bin tere ab jiya jaye naa

Explore this song