Roman script

main yaha tu waha jaise jamin aasmaa

na hame ye pata kaise milenge kab kaha

main yaha tu waha jaise jamin aasmaa

na hame ye pata kaise milenge kab kaha

nayan mein aansu hai bhare

milan ki aas man mein hai

tera daras mujhe mile

yahi to dhun lagan mein hai

mere sapan mein raat din tera hi roop rang hai

tu reh ke dur bhi priye, sada hi mere sang hai

tu kuchh nahi mere bina

mera bhi haal hai bura teri tarah

main yaha tu waha jaise jamin aasmaa

na hame ye pata kaise milenge kab kaha

main yaha tu waha jaise jamin aasmaa

na hame ye pata kaise milenge kab kaha

sandesa teri preet ka subah se shaam hai likha

meri har ek saans pe tera hi naam hai likha

adhar pe baasuri meri tu usme taan ki tarah

chhupaake rakha hai tujhe 

jiya mein praan ki tarah

mile jo tu to ye kahu 

hai suna suna meri khushiyo ka jahaan

main yaha tu waha jaise jamin aasmaa

na hame ye pata kaise milenge kab kaha

main yaha tu waha jaise jamin aasmaa

na hame ye pata kaise milenge kab kaha

Explore this song