Roman script

mai dil me mai dil me

dard basa layi naino se nain mila aayi

unko apne man kee bate bina kahe samjha aayi

mai dil me dard

pyar se koyi dekh raha tha mai sahmi ghabrai

dhalki mori dhani chunariya

li maine angdayi bin dekhe sharmai

mai man ka mai man ka

chain luta aayi naino se nain mila aayi

mai dil me dard

dil me uthi lehar khushi kee ang ang lehrayi

kali mere joban kee chatki phul bani muskayi

mai jiwan mai jiwan

git suna aayi naino se nain mila aayi

mai dil me dard

Explore this song