Roman script

lakh bar dhikar tujh par o nirlaj insan 

jhuk gaya atyachar ke aage tera dhrm iman 

main nahi manunga main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan 

tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman 

main nahi manunga

jinko bal ka man hai unse kahdo ye ja kar 

jinko bal ka man hai unse kahdo ye ja kar 

kat sakta hai jhuk nahi sakta bal kavi ka sar 

main karta hun aaj bhare bajar me ye ailan 

main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan 

tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman

main nahi manunga

mera bhagwan wo hai jiski rachna hai sansar 

mera bhagwan wo hai jiski rachna hai sansar 

mera bhagwan wo hai jo sab ka palanhar 

us bhagwan ke badale kaise le lu ye shaitan 

main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan 

tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman

main nahi manunga

kitne kans aur kitne ravan is dharti par aaye 

kitne kans aur kitne ravan is dharti par aaye 

kisi dusht ke aageprbhu ke bhagat na jhukne paye 

dharm raha hai dharm rahega prithwi par balwan 

main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan 

tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman

main nahi manunga main nahi manunga

Explore this song