Roman script

main khush hunduniya pe khusi chhai huyi hai 
mehmaan mere ghar me bahaar aai huyi hai 
mehmaan mere ghar me bahaar aai huyi hai 
khushiyon ki jhalak chehron pe 
aankhon me badhai 
jaise ki ho shadi ki ghadi aayi huyi hai 
har ik chij dulhan ki tarah sharmaai huyi hai 
har ik chij dulhan ki tarah sharmaai huyi hai
is shaan se hothon pe hansi jhum rahi hai 
badh badh ke use meri najar chum rahi hai 
jo mohani surat mere man bhai huyi hai 
jo mohani surat mere man bhai huyi hai 
ek baag se maali ki hai har baat niraali 
jivan ki mere laaj meri maang ki laali 
ye chandni ik chand ki phailai huyi hai 
mehmaan mere ghar me bahaar aai huyi hai

Song details

Song video

Watch on YouTube