Roman script

aawaara hai galiyo me, mai aur meri tanhaayi 
jaaye to kaha jaaye 
jaaye to kaha jaaye, har mod pe ruswaayi
mai aur meri tanhaayi 
mai aur meri tanhaayi 
ye phool se chehre hai, hanste huye guldaste 
koi bhi nahi apna, begaane hai sab raste 
raahe bhi tamaashaahi 
raahi bhi tamaashaahi, mai aur meri tanhaayi 
mai aur meri tanhaayi 
armaan sulgate hai, sine me chita jaise 
kaatil najar aati hai, duniya ki hawa jaise 
roti hai mere dil par bajati huyi shahnaayi
mai aur meri tanhaayi 
mai aur meri tanhaayi 
har rang me ye duniya, sau rang dikhaati hai 
rokar kabhi hasti hai, haskar kabhi gaati hai 
ye pyaar ki baahe hai, ya maut ki angadaayi  
mai aur meri tanhaayi, mai aur meri tanhaayi
mai aur meri tanhaayi, mai aur meri tanhaayi

Song details

Song video

Watch on YouTube