Roman script

san sann san san sanan chale pawan 
jhan jhan jhan jhan jhanan jhume gagan 
khan khan khan khan khanan baaje kangan 
man aaj magan lage laagi lagan sohe sang sajan 
ang ang magan masti mein lahraya masti mein lahraya 
chhaya dharti pe ye yauvan chhaya 
aaj rituon ka raja aaya 
chhaya dharti pe ye yauvan chhaya 
aaj rituon ka raja aaya 
aaya aaya basant lahrata 
gungunata muskurata 
lakhon rango ne rang jamaya 
aaj rituon ka raja aaya 
chhaya dharti pe ye yauvan chhaya 
aaj rituon ka raja aaya 
mausam suhana hai rut hai basanti 
rasiya tum hai to main hui raswanti 
kaliyon ki galiyon mein bnanwaro ki toli 
tu mera ho ja re main teri ho li 
pran kahe tu tu na rahe main na rahu 
ras rang bhare tan man ko nahlaya 
tan man ko nahlaya 
koyal ne sandesh sunaya 
aaj rituon ka raja aaya 
chhaya dharti pe ye yauvan chhaya 
aaj rituon ka raja aaya 
belon se lipati hai pyasi latayen
has has ke birhan ke man ko sataye
sakhiya hilmil ke khushiyaan manaye  
hum kisse mil mil ke batiyaan banaye 
gati rahi itrati rahi balkhati rahi 
dukhpati rahi wo chhaliya nahi aaya 
wo chhaliya nahi aaya 
is rut ne hume tarsaya 
aaj rituon ka raja aaya 
chhaya dharti pe ye yauvan chhaya 
aaj rituon ka raja aaya

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Suman Kalyanpur, Mohammed Rafi