Roman script

madhuban khusbu deta hai

sagar sawan deta hai

jina uska jina hai

jo oro ko jeevan deta hai

madhuban khusbu deta hai

suraj na ban paaye to

banke deepak jalta chal

suraj na ban paaye to

banke deepak jalta chal

phul mile ya angare

sach ki raaho pe chalta chal

sach ki raaho pe chalta chal

pyaar dilo ko deta hai

ashko ko daaman deta hai

jina uska jina hai

jo oro ko jeevan deta hai

madhuban khusbu deta hai

sagar sawan deta hai

madhuban khusbu deta hai

chalti hai lehrake pawan

ke saans sabhi ki chalti rahe

chalti hai lehrake pawan

ke saans sabhi ki chalti rahe

logo ne tyag diye jeewan

ke preet dilo mein palti rahe

ke preet dilo mein palti rahe

dil wo dil hai jo oro ko

apni dhadkan deta hai

jina uska jina hai

jo oro ko jeevan deta hai

madhuban khusbu deta hai

sagar saawan deta hai

madhuban khusbu deta hai

Explore this song