Roman script

lo rukh badal raha hain , fir zindagi ka dhara 

le kar chali hain duaa, allah ka sahara 

khudard ye nazara 

ae do jaha ke wali, de de jara sahara 

haule haule jhuke jhuke, tufa me pukara

dikhla de ab kinara, khudard ye nazara 

barbad raste chal, fir zindagi gavah hain 

hasi hain na anuragi, ghar hai na aasta hain 

gardish me hain sitara, khudard ye nazara

manjil hain dur fir bhi, ummid chal rahi hain 

majbur hain jawani, kanto me pal rahi hain 

aaho pe hain gujara, khudard ye nazara 

kya dekhti hain aankhe, ghar hain na ab wo dar hain 

khela jaha ladakpan, ab wo jagah khndhar hain 

dekhe koi khudara, khudard ye nazara 

kab tak yu hi firegi, takdeer ki satai 

bewa ki kul kamai, le de ke ek bhai

dil ka vahi sahara, khudard ye nazara

Explore this song