Roman script

lo aa gayi unki yaad, wo nahi aaye

lo aa gayi unki yaad, wo nahi aaye

dil unko dhundhta hai, gam kaa singaar kar ke

aankhe bhi thak gayi hai, ab intajaar kar ke

aankhe bhi thak gayi hai, ab intajaar kar ke

ek aas rah gayi hai, wo bhi naa tut jaaye

lo aa gayi unki yaad, wo nahi aaye

roti hain aaj hum par, tanahaiya humaari

roti hain aaj hum par, tanahaiya humaari

wo bhi na paaye shaayad, parchhaiya humaari

badhate hi jaa rahe hai, maayusiyo ke saaye

lo aa gayi unki yaad, wo nahi aaye

lau tharathara rahi hai, ab sham-e-jindagi ki

ujadi huyi mohabbat, mehamaan hai do ghadi ke

ujadi huyi mohabbat, mehamaan hai do ghadi ke

mar kar hi ab milenge, ji kar to mil na paaye

lo aa gayi unki yaad, wo nahi aaye

lo aa gayi unki yaad, wo nahi aaye

Explore this song