Roman script

o lelo

muliram aur bhindimal ka nikal gaya hai diwala

bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

are muliram aur bhindimal ka nikal gaya hai diwala

bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

o sun mere babu o ruk mere raja

o dekho ji dekho mere lala

bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

patne ki gajar banaras ka parwal

surat ki gobhi majedar hai

are aisa na maal mile sare bazaar me

tera bhatakna ye bekar hai

o ghar me khali hath na jana

joru karegi ghotala

o ghar me khali hath na jana

joru karegi ghotala

waah bahi waah

o bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

delhi ka tamatar le jaao ji mister

khaye jo mera maal bane deputy collector

bambai ka batata merath ka karela

aa pass mere chhod ke duniya ka jhmela

o methi muradabad ki

ye papdi nadyaad ki

chhoti si dukan hai meri shan ahamdabad ki

o lelo ji ye culcutte ka baingan kala kala

lelo ji ye culcutte ka baingan kala kala ha

bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

muliram aur bhindimal ka nikal gaya hai diwala

bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

o sun mere babu o ruk mere raja

o dekho ji dekho mere lala

bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala

Explore this song