Roman script

tere pehlu me chala aaya hu mai
zinadagi ke gum se ghabraya hua
kya kahu tujh bin mera ye haal hai
jaise koi phul dundhlaya hua
mujhko is duniya me kuch bhata nahi
ek nazar jab tak na tujhko dekh lu
kyu mere dil ko karar aata nahi
ek nazar jab tak na tujhko dekh lu
meri har ek saans tera geet hai
dil nahi ye dhadkano ka saaj hai
meri har ek saans tera geet hai
dil nahi ye dhadkano ka saaj hai
maine vo khamosh nagme sun liye
do dilo ki ek hi aawaz hai
har taraf sangeet lehrata nahi
ek nazar jab tak na tujhko dekh lu
kyu mere dil ko karar aata nahi
ek nazar jab tak na tujhko dekh lu
gar khuda bhi dur se aawaz de
mai na jau tera daman chhod  ke
tujhse gar bichdi to mai mar jaugi
dekh le ulfat ke naate tod ke
zindagi se kuch mera naata nahi
ek nazar jab tak na tujhko dekh lu
kyu mere dil ko karar aata nahi
ek nazar jab tak na tujhko dekh lu

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Mahendra Kapoor, Lata Mangeshkar