Roman script

kyoon yaad aa rahe hain, guzrey huay zamaane

ye dukh bhare fasaane, rotay hue taraane

kisko suna rahe hain, kyoon yaad rahe hain

yoon muskuraa rahe hain, dekho agar to samjho

aansu bahaa rahe hain, yoon muskuraa rahe hain

dekho agar to samjho, aansu bahaa rahe hain

kyoon yaad aa rahe hain, guzrey hue zamaane

kyaa baat hai na jaane, kyoon hichkiyon ki lay pe

gaate hain gam ke gaane, kyaa baat hai na jaane

kyoon hichkiyon ki lay pe, gaate hain gham ke gaane

hum bhor ke diye hain, hum bhor ke diye hain

bujhte hi jaa rahe hain, kyoon yaad aa rahe hain

guzrey huay zamaane

Explore this song