Roman script

kya ye duniya hai yahan kar ke bhalai dekh li

soch na sakte the jo wo bhi burai dekh li

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai 

sab to paraye hai jahan me kaun hamara hai 

o o papi ko aram jagat me papi ko aram

o o puney wale badanam jagat me 

puney wale badanam

dekh liya sansar yahan ka khel hi nyara hai 

dekh liya sansar yahan ka khel hi nyara hai 

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai 

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai 

o o chhina mera lal jagat ne chhina mera lal

mujhse hua hai dur jo meri aankh ka tara hai 

mujhse hua hai dur jo meri aankh ka tara hai 

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai

o o anyayi ki jit yaha par anyayi ki jit

o o roti sachhi prit yahan par roti sachhi prit

sunte ho bhagawan yahi insaf tumhara hai 

sunte ho bhagawan yahi insaf tumhara hai 

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai

sab to paraye hai jahan me kaun hamara hai

zulm ki nagri me kisi ka kaun sahara hai

Explore this song