Roman script

sharm aati hai mujhko saheli naya ghar hai mai dulhan naweli

bat man ki jo hai ek paheli rahne do ise tum paheli

kya meri prem kahani nadiya se bichada pani

nadiya se bichada pani

kya meri prem kahani nadiya se bichada pani

nadiya se bichada pani

chhut jati hai babul ki galiya dur sanjog le jate hai 

phul banti hai jab khilke kaliya tod ke log le jate hai

ek raja le aaya banake mujhe rani nadiya se bichada pani

nadiya se bichada pani

jane kis kis gali se gujarke ghar sajan ke barat aayi

sab sathi purane wahi chhute yad unki mere sath aayi

ye jo aasu hai ye hai unhi ki nishani nadiya se bichada pani

nadiya se bichada pani

gaya karti jo mayke me dulhan ab wo git yad aate hai

kis tarah yad aate hai dushman, kis tarah mit yad aate hai

jan nilkengi tab dil se yade purani nadiya se bichada pani

nadiya se bichada pani

kya meri prem kahani nadiya se bichada pani

nadiya se bichada pani

Explore this song