Roman script

ek sapna tha woh ek toota taara

dhundhun ab kahan

dil ki marzi thi dil ko hi haara

jaane kab andhera ho gaya

yeh aasmaan

kya maine socha tha kya maine paaya

khwaabon ke badle dhokha hi khaya

inn khaali haath mein ek kal ka saaya

kya humne socha tha kya humne paaya

khaali kagaz pe rangi teri hansi

hawa si udd chali hmm

kehte kehte hi adhoori reh gayi

kahaani yeh kabhi jo thi humari zindagi

kya maine socha tha kya maine paaya

khwaabon ke badle dhokha hi khaya

inn khaali haath mein ek kal ka saaya

kya humne socha tha kya humne paaya

koyi woh ek pal phir mujhe lauta de

ya abhi bas tujhe bula de

saath mein aaye the jis jahan mein hum kabhi

woh jahan ab koyi bula de

kya maine socha tha kya maine paaya

khwaabon ke badle

inn khaali haath mein ek kal ka saaya

kya humne socha tha kya humne paaya

kya humne socha tha kya humne paaya

kya humne socha tha kya humne paaya

Explore this song