Roman script

kya jina kya marna tere bina hai sab gunah karna

gunah karna har lamha har lamha hai tanha tanha

har ek lamhe ko bas tabah karna tabah karna

kya jina kya jina kya marna kya marna 

tere bina hai tere bina hai sab gunah karna

sab gunah karna

har lamha har lamha hai tanha tanha hai tanha tanha

har ek lamhe ko har ek lamhe ko bas tabah karna

bas tabah karna tabah karna kya jina kya jina

tanhaiyon se keh do mere paas na aaye

viraniyon se keh do kahin aur hi jaaye

dil mein nahin hai mere koi gam ke liye jagah

har sutra junun hi khushiyon ki bana wajah

duri se duri si duri se ab kya darna

yaadon se teri hai ab nibah karna nibah karna

kya jina kya jina

diwangi ki sarhad ab todh denge hum

tere junun mein duniya ab chodh denge hum

behte hue lahu mein mehfuz hai bas tu

tera karun main sajda bas tuhi aarzu

ishq hai ishq hai ishq hai parwah karna

ek dusre mein bas jiya karna jiya karna

kya jina kya jina

teri kashish ne mujhko haan bekhud bana diya

jina hua tha dusbar par tune jila diya

armaan hue hain bhaagi haan bhaagi hua hun main

sab kuch tera hua hai haan tera hua hun main

khwaish hai khwaish hai khwaish hai sang sang rehna

ruh mein teri bas fanaah hona fanaah hona

kya jina kya marna tere bina hai tere bina hai 

sab gunah karna sab gunah karna

har lamha har lamha har lamha hai tanha tanha

har ek lamhe ko bas tabah karna tabah karna

kya jina kya jina

Explore this song