Roman script

khushi to kaid me hai ye koi jina bhi jina hai

are zalim zamane tune dil ka chain chhina hai

rota hai mera dil kisko pukaru kya karu

jina bhi hai mushkil kisko pukaru kya karu

kisko pukaru kya karu, kya karu kya karu

rota hai mera dil, kisko pukaru kya karu

takdeer ne mujhko lut liya

har aas ka suraj dub gaya, har aas ka suraj dub gaya 

takdeer ne mujhko lut liya

har aas ka suraj dub gaya, har aas ka suraj dub gaya

ye gam ki ghataye aisi uthi

ummid pe paani pher diya, ummid pe paani pher diya 

ab dur hui manzil, kisko pukaru kya karu

ye phul khushi ke kaante hai

hum chupke chupke rote hai, chupke chupke rote hai

ae maut gavaahi dena tu

hum pyar pe kurba hote hai, hum pyar pe kurba hote hai

duniya hai badi kaatil, kisko pukaru kya karu

kisko pukaru kya karu, kya karu kya karu

rota hai mera dil, kisko pukaru kya karu

mar jaaye to itna kar dena

do aansu aa ke chadha dena, do aansu aa ke chadha dena

is pyar ki ujdi basti me

ik yaad ka dip jala dena, ik yaad ka dip jala dena

tum ho na sake haasil, kisko pukaru kya karu

kisko pukaru kya karu, kya karu kya karu

rota hai mera dil, kisko pukaru kya karu

rota hai mera dil

Explore this song