Roman script

kudrat ki hai badhai

kudrat ki hai badhai bhai

kudrat ki hai badhai

kudrat ki hai badhai

nich unch ka bhed jaha nahi

nich unch ka bhed jaha nahi

band prem batlaaye

jo band prem batlaaye

wahi to saccha, wahi to uncha

wahi to saccha, wahi to uncha

maanav dharam kahaaye

maanav dharam kahaaye

kudrat ki hai badhai

kudrat ki hai badhai

kudrat ki hai badhai

jo bhule ko raah dikhaaye

jo bhule ko raah dikhaaye

nij samaan apnaai

nij samaan apnaai

wahi manushy hai wahi devta

wahi manushy hai wahi devta

prem ki de duhaai

jo prem ki de duhaai

kudrat ki hai badhai

kudrat ki hai badhai bhai

parmaatma ki shristi me koi unch nich nahi

sabhi uski god me phulte falte hai

maanav ko ek dusre ki seva karni chahiya

sabhi dharmo ka yahi param tatv

ki jan seva hi sacchi ishwar seva hai

mandir murat sabhi jagah hai

mandir murat sabhi jagah hai

ek prem ki dhaal

ek prem ki dhaal

band prem ka raaz jaha hai

band prem ka raaz jaha hai

wahi basat bhagwaan

wahi basat bhagwaan, bhagwaan, bhagwaan

Explore this song