Roman script

ab jago hey anjani kumar lanka ki or payan karo

hey bhutkal ke vikat veer tum vartman nirman karo

hum sab chinta me dube hai mata ka pata lagao tum

dukhiyo ka dukhda dur karo, sankatmochan kahlao tum

kuchh yaad karo kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

vidyut ki gati, vidyut ki gati jisme thi adbhut wo balpan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

duniya thi dang dekh tumhari udaan ko

tumne hilake rakh diya tha aasman ko

aakash tumhare liye tha ek akhara ha ha ek akhara 

jisne bhi li takkar use pal bhar me pachada

pal bhar me pachada

bijli ki tarah lapke the suraj ki taraf tum 

mukhde me chupakar ke kiya divakar ko gum

tum kha gaye bhabhakta hua agni ka gola

ha ha agni ka gola ha ha agni ka gola

takat tumhari dekhkar brahmand tha dola

hanuman ji hanuman ji kaha gayi wo shakti vilakshan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

phir ek naya dushman tumhe lalkarne laga, raahu 

phir ek naya dushman tumhe lalkarne laga

aankhe dikhake shekhiya bagharne laga, raahu

usko bhi maari laat tumne baat baat me

aadi ko kiya maat tumne baat baat me

jab raahu gaya haar to phir indra bhi aaya

jhunjhla ke usne tumpe apna vajra chalaya

aur ant me sab ho gaya jhagdo ka safaya

jhagdo ka safaya, jhagdo ka safaya

sab devo ne milkar tumhe vajraang banaya

hai aaj kasoti tumhari

hai aaj kasoti tumhari kesari nandan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

kuchh yaad karo apna pavansut wo balpan

tum shakti punj ho kisise dar nahi sakte, kisise dar nahi sakte

aisa na koi kaam jo tum kar nahi sakte, jo tum kar nahi sakte

utho chalang maaro, bajrang bali bajrang bali

akash ko lalkaaro, bajrang bali bajrang bali

bhisjan ko rup dhaaro, bajrang bali bajrang bali

sankat se tum ubharo, bajrang bali bajrang bali

utho bajrang bali, jago bajrang bali

utho bajrang bali, jago bajrang bali

utho bajrang bali, jago bajrang bali

Explore this song