Roman script

sukh shanti use kya mile jiske man me bair 

aapas ke is bair me nahi kisi ki khair 

kuch na mila kisi ko nafrat ke dwaar se 

kuch na mila kisi ko nafrat ke dwaar se 

adaalat ke dwaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se 

kuch na mila kisi ko nafrat ke dwaar se 

adaalat ke dwaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se 

kisi ki uljhan kabhi na suljhi 

court kachehri ja ke 

har vakkil ka kyun bharte ho 

apne ghar ko lutake 

apna gala na kaato apni hi talwaar se 

adaalat ke dwaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se 

insaan ki aadat aur adaalat dono ek hi jaise 

jivanbhar ye pind na chhode inse bache koi kaise 

jeet se bhi dukh utnna jitna haar ke 

adaalat ke dwaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se 

kuch na mila kisi ko nafrat ke dwaar se 

adaalat ke dwaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se 

kuch na mila kisi ko nafrat ke dwaar se 

adaalat ke dwaar se 

aapas ki takraar ko nipta lo pyaar se

Explore this song