Roman script

kuch ladke kuch ladkiyo ki hui ikathi bhid

aisa nacha nach ke bhaiya ho gayi man ko peed

ho gayi man ko peed hua dil bada udasha

bap bajaye saj to bitiya hai rakasha

ye nach wach kya hai

ye nach wach kya hai ye kya gana bajana

kuch paglo ne mahfil bana di pagal khana

ye nach wach kya hai

bada kasth dete ho patli kamar ko

haay patli kamar ko

jara dekhiye aap apni hi umar ko

ho apni hi umar ko

use nach kahiye jo madhosh kar de

bichade jami par sabhi ki najar ko

sabhi ki najar ko

ye nach gana hamko aisa lagta hai

jaise diwano ka apas me bair ho purana

ye nach wach kya hai

saram karo dub maro

mohabbat kanhaiya se radha ne ki thi

magar us mohabbat me kya sadgi thi

jami aasma ka

jami aasma ka farak ho gaya hai

insa ka beda garak ho gaya hai

garak ho gaya hai

bata de koi hamko nahi bata sakoge

bata de koi hamko samjhade koi hamko

hai kaun isme shama or kaun hai parwana

ye nach wach kya hai

na maszid ka charcha na mandir ki bate

na maszid ka charcha na mandir ki bate

ujale hai puraw ke paschim ki rate

ye kaisa nasha hai ye kaisa nasha hai

ye kaisa guman 

ye begani rasme ye jalan bhi udhar

jalan bhi udhar

wo sadiyo purani haamri nishani

tumhari dua se bani hai nishana

bani hai nishana

ye nach wach kya hai ye nach wach kya hai

ye kya gana bajana

kuch paglo ne mahfil bana di pagal khana

banadi pagal khana bana di pagal khana

Explore this song