Roman script

koyi gesu koyi aachal hame aawaj na de

ab kisi aankh ka kajal hame aawaj na de

ham hai khamosh to khamosh hi rehne do hame

koyi aahat koyi halchal hame aawaj na de

hamne tanhayi ko mehbub bana rakha hai

raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai

phir pukara hai mohabat ne hame kya kijye

di sada husn ki jannat ne hame kya kijye

jis ke saye se bhi aksar hame dar lagta tha

chhu liya aakhir usi hasrat ne hume kya kijye

hamne jajbat se daman ko bacha rakha hai

raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai

raas aaye na kabhi pyar ke halaat hame

dil ke is khel me har bar huyi mat hame

kya karenge kaha jayenge kidhar jayenge

de gayi jab bhi daga agar ye mulakat hame

bas isi soch ne deevana bana rakha hai

raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai

raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai

Explore this song