Roman script

koi kuch bhi kahe pyare magar ye bat pakki hai

yaha aata hai wo jis par koi ilzam hota hai

ha shabab koi na koi tha jo yu khinchkar chale aaye 

ye to kismat hai meri jaa 

varna kon apni khushi se aaye yaha

dane dane pe naam hota hai wahi dane hume le aaye yaha

ye to kismat hai meri jaa varna kon apni khushi se aaye yaha

dane dane pe naam hota hai wahi dane hume le aaye yaha

ye to kismat hai meri jaa

yaar apna ek imamudin tha

manchala tha aur bahut shokin tha

ha sath chopati gaye hum ghumne 

arey husn walo pe laga wo jhumne phir 

kabhi ladki ko yu bulata tha dhire dhire siti bazata tha

ganga jamuna ke gane gata tha raz ki tarha muskurata tha

ek ladki ko zara, ek ladki ko zara zadi si

pehne huye wo kali sadi si

uski aankho me dip jalte the dekhne wale aankhe malte the

rat soyi thi uske balo me chand hansta tha gore galo me

aayi shamat use salam kiya usne chappal se apni kam liya

ha ched khani ka maza mehanga pada 

aur humko pyare jel me aana pada

ye to kismat hai meri jaa varna kon apni khushi se aaye yaha

dane dane pe naam hota hai wahi dane hume le aaye yaha

ye to kismat hai meri jaa

dhokha diya nasib ne bankar bigad gaya

aaye haye arey kadke ki 

jeb me jo mera hath pad gaya to phir

kholkar dekha pocket khali tha pocket wala bhi khud shawali tha

band kagaj me dil ki tehrire husn walo ki chand takdire 

apni kismat ke rang aise the ek sigret thi char paise the

char paiso me gujar kab hoti husn walo ki nazar kab hoti 

unhe daulat se pyar hota hai inki bala se koi rota hai

aaya gusa to pocket phenk diya pocket wale ne mujhko dekh liya

ha bhagna chaha magar mai gir pada

jaise utha muh pe ek thappad pada

ha apne peshe se huyi nafrat mujhe

jel me karni padi kasrat mujhe ye to kismat hai meri jaa 

varna kon apni khushi se aaye yaha dane dane pe naam hota hai 

wahi dane hume le aaye yaha ye to kismat hai meri jaa

bap zinda tha bahut aaram tha

ghar me apna ramchandar naam tha

aur ab hume ab ramu dada kahte hai 

chal me gangu ki hum rahte hai 

aye ji mandi ka dhandha hota tha apni masti me banda sota tha

yuhi phokat me kam chalta tha kale ghode tak naam chalta tha

dil me chahat thi badi shehre ki aane wali thi ghadi phere ki 

ha ma kasam apna ye dil kala nahi

dosto ki bat ko tala nahi

ha laye  smagling ka sona chal me

ramchandra ko fasaya jal me ye to kismat hai meri jaa 

varna kon apni khushi se aaye yaha dane dane pe naam hota hai 

wahi dane hume le aaye yaha ye to kismat hai meri jaa

Explore this song