Roman script

chhod de man ke bhed bhaav ko

tod de jhooti chaar deewari

janam maran ke ek taar se

bandhi hui ye duniya saari

koi aata koi jaata hai

koi aata koi jaata hai

sukh dukh ke dono paaon par

sansaar ye chalta jaata hai

koi aata koi jaata hai

ek dagar ke ham sab raahi

manjil ek humaari

are bade chhoto ki duniya

basti hai kab naayri

jaane phir kyun man ka panchhi

maya me phas jaata hai

koi aata koi jaata hai

koi aata koi jaata hai

bhookhe ko roti de apni

khud bhookha so jaaye

auro ka dukh apna samjhe

wo insaan kahaye

jo matlab ke liye jiye

wo jeete jee mar jaata hai

koi aata koi jaata hai

koi aata koi jaata hai

Explore this song