Roman script

kisne yun mujhko chua ke main 

pankho ke bin aise udane laga 

chahe jaha bhi rahu magar kyun 

ja kar ke usse hi judne laga 

o raaho mein meri uske paaon ke nishaan hai 

manzil ki jaanib ab to chlna asaan hai 

duriya simatne lagi hain khwaishein chatkane lagi 

kiska wajood hai yahan koi mojood hai yahan 

kisne yun mujhko chua ke main 

pankho ke bin aise udane laga 

khushbu kawaon mein haitu meri duao mein hai

jab se hua hai raabta tu hai falak pe kahin

dikhti zamin pe nahi dhundu main tera hi pata 

main bhee ab main na raha khud ko ab dhundu kahan 

main hua laapata kisne yun mujhko chua ke main 

pankho ke bin aise udane laga 

parinde chehakne lage paao kyun behakne lage 

naksh tu hi hota jaa raha fizaayein mehakne lagi 

khwaishe behakne lagi ye kya gazab ho raha 

door talak jaata hun main tujhko hi pata hun main 

jaaun main jaaun jahakisne yun mujhko chua ke main 

pankho ke bin aise udane laga 

chahe jaha bhi rahu magar kyun 

ja kar ke usse hi judne laga

Explore this song