Roman script

kis liye maathe pe bal hai, ranj ka izhaar kyo 

dil se jab iqraar hai to, munh se inkaar kyo 

aapki khamoshiya achchhi nahi lagti hume 

aji kuch to kahiye, kya hua, naraaz hai sarkaar kyo 

aji kuch to kahiye, kya hua, naraaz hai sarkaar kyo 

kis liye maathe pe bal hai, ranj ka izhaar kyo

dil ne chaha aapko, isme hamaara kya qasoor

baat hai chhoti si phir bhi, is qadr taqraar kyo 

baat hai chhoti si phir bhi, is qadr taqraar kyo 

kis liye maathe pe bal hai, ranj ka izhaar kyo

aapke hote hue phir kyo na ho 

dil ka ilaaj kahiye kyo na ho dil ka ilaaj

sisakiya le le ke mar jaaye bhala beemar kyo

sisakiya le le ke mar jaaye bhala beemar kyo

kis liye maathe pe bal hai, ranj ka izhaar kyo

baat meri maan lo, ek baar to keh do dil se ha

Explore this song