Roman script

kis najar ka mast ishara hai jindagi

is aasman ka tuta sitara hai jindagi

kis najar ka mast ishara hai jindagi

is aasman ka tuta sitara hai jindagi

kya kastiya rahegi ye lahro se hoshiyar

lahro se hosiyar

unke hai jinse laakh ummido ke bekrar, haye bekrar

dariya ka ek bahta kinara hai jindagi

is aasman ka tuta sitara hai jindagi

kisi najar ka mast ishara hai jindagi

is aasman ka tuta sitara hai jindagi

jine usi ka hai jo jiye aur ke liye

jine usi ka hai jo jiye aur ke liye

aanshu bhi de nasib to hanskar unhe piye

duniya ko ye pyaam humara hai jindagi

is aasman ka tuta sitara hai jindagi

kisi najar ka mast ishara hai jindagi

is aasman ka tuta sitara hai jindagi

Explore this song