Roman script

kisi ranjish ko hawa do, ke mai zinda hu abhi

mujhko ehsaas dila do, ke mai zinda hu abhi

mere rukne se, meri saanse bhi ruk jayengi

faasle aur badha do, ke mai zinda hu abhi

mujhko ehsaas dila do, ke mai zinda hu abhi

zehar peene ki to, aadat thi zamane walo

ab koi aur dawa do, ke mai zinda hu abhi

chalti raaho me yunhi, aankh lagi hai faakir

bheed logo ki hata do, ke mai zinda hu abhi

kisi ranjish ko hawa do, ke mai zinda hu abhi

mujhko ehsaas dila do, ke mai zinda hu abhi

Explore this song