Roman script

kisi ke thukraakar armaan

na jaao bedardi nadaan

ye mausam roz nahin aata

ye mausam roz nahin aata

arre anjaan nahin aasaan

bahaaron ke aise samaan

ye mausam roz nahin aata

ye mausam roz nahin aata

shamaa tak aakar parwaane

kahaan jaata hai deewaane

shamaa tak aakar parwaane

kahaan jaata hai deewaane

yoonhi kyun hota hai hairaan

nazaakat mauke ki pahchaan

ye mausam roz nahin aata

ye mausam roz nahin aata

kisi ke thukraa kar armaan

na jaao bedardi nadaan

ye mausam roz nahin aata

ye mausam roz nahin aata

sadaa ik baat nahin hoti

haseen har raat nahin hoti

sadaa ik baat nahin hoti

haseen har raat nahin hoti

bharosa kya ghataaon ka

sadaa barsaat nahin hoti

sadaa barsaat nahin hoti

ye rut hai do din ki mehmaan

na hogi kal koyal ki taan

ye mausam roz nahin aata

ye mausam roz nahin aata

kisi ke thukraa kar armaan

na jaao bedardi nadaan

ye mausam roz nahin aata

ye mausam roz nahin aata

Explore this song