Roman script

kis tarah se shukar tera ab ada karu main 

kis tarah se shukar tera ab ada karu main 

iss mohabbat ka harjana kis tarah bharu main

khaamosh reh kar bhi keh gaye

dariya sa dil tak beh gaye

tum par ho raha hai pura aitbaar

tum hi ho hifaazat meri suno

ye kaha hai ruh ne

kis tarah se shukar tera ab ada karu main 

hai ishq ka bas naam liya

maine samjha nahi tha ise

tune sikhaaya ki ye hai ibaadat

ruh ki bhasha hai yeh

teri badolat paayi woh daulat

jo mili na mujhko kahin

jazbaat hadd se badhne lage

dene lage sadaa tujhe

har pal hai zaruri ab tera deedar

kis tarah se shukr tera ab ada karu main 

iss mohabbat ka harjana kis tarah bharu main 

aisa kabhi dekha nahi

na kabhi bhi kahin suna

dene wala sab dekar bhi keh raha hai shukriya

tune hi to samjha mujhe

jo na keh saka mai, suna tumhe

ehsaan ye tera na bhulunga sadaa

kis tarah se shukar tera ab ada karu main 

iss mohabbat ka harjana kis tarah bharu main

Explore this song