Roman script

kis kisko dipak pyar kare
jab lakh patange jalte ho
kis kisko dipak pyar kare
jab lakh patange jalte ho
kyu phul dhul me mil jaye
jab bhanware aahe bharte ho
kis kisko dipak pyar kare
chanda ka isme dosh hi kya 
taare roye ya muskaye
chanda ka isme dosh hi kya 
taare roye ya muskaye
chahe os bane unke aansu 
ya moti bankar jhar jaye
kyu khile kanval kumhala jaye
jab marne wale marte ho
kis kisko dipak pyar kare
jogi tum jog rama baithe
jogi tum jog rama baithe
apne me dhyan laga baithe
apne me dhyan laga baithe
jogi tum jog rama baithe
apne me dhyan laga baithe
aiso se pyar ki kya asha
jo apna aap ganva baithe
phir bhi tumko hi chahenge
hum jeete ho ya marte ho
kis kisko dipak pyar kare
jab lakh patange jalte ho
kis kisko dipak pyar kare

Song details

Song video

Watch on YouTube