Roman script

khuli jo aankh to wo tha na wo jamana tha 

dahakati aag thi tanhai thi fasana tha 

gamo ne baant liya hai mujhe tu aapas mein 

ki jaise main koi luta hua khajana tha 

juda hai shakh se gul-rut se aashiyane se 

kali ka jurm ghadi bhar ka muskurana tha 

ye kya ki chand ho kadamo mein thak ke baith gaye 

tumhe to sath mera door tak nibhana tha 

mujhe jo mere lahu mein dabo ke gujara hai 

wo koi gair nahi yaar ek purana tha 

khud apne hath se shahjad usko kaat diya 

ki jis darkht ki tahani pe aashiyana tha

Explore this song