Roman script

ghar baith ke sab pee lenge

ghar baith ke sab pee lenge

to maikhano ka kyaa hoga

maikhano ka kyaa hoga

nazron se guzara chal jaaye

nazron se guzara chal jaaye

to paimaano ka kyaa hoga

paimaano ka kyaa hoga

yu to hum shaukin nahi ye

soch ke bas pee lete hain

yu to hum shaukin nahi ye

soch ke bas pee lete hain

agar mejbaan na peeyega to

agar mejbaan na peeyega to

phir mehmaano ka kyaa hoga

mehmaano ka kyaa hoga

kuchh rind nahi hargiz karte

mehfil ki shaan mein gustakhi

kuchh rind nahi hargiz karte

mehfil ki shaan mein gustakhi

lekin jo bahakne lagte hain

lekin jo bahakne lagte hain

un naadano ka kyaa hoga

naadano ka kyaa hoga

humne suna hain jannat mein

may par takrire hoti hain

humne suna hain jannat mein

may par takrire hoti hain

ye haal hain agar farishto ka

ye haal hain agar farishto ka

to hum insaano ka kyaa hoga

hum insaano ka kyaa hoga

nazron se guzara chal jaaye

nazron se guzara chal jaaye

to paimaano ka kyaa hoga

paimaano ka kyaa hoga

ghar baith ke sab pee lenge

ghar baith ke sab pee lenge

to maikhano ka kyaa hoga

maikhano ka kyaa hoga

Explore this song