Roman script

khuda bhi aasmaa se jab zami par dekhta hoga

mere mahabub ko kisne banaya sochta hoga

khuda bhi aasmaa se 

mushavir khud paresha hai ki ye tasvir kiski hai

banogi jiski tum aisi hasi taqdir kiski hai

kabhi wo jal raha hoga, kabhi khush ho raha hoga

khuda bhi aasmaa se jab zami par dekhta hoga

mere mahabub ko kisne banaya sochta hoga

khuda bhi aasmaa se 

zamane bhar ki masti ko ne sameta hai 

gale se zism ko kitni bahaaro me lapeta hai 

hua tum sa koi pahle na koi dusra hoga 

khuda bhi aasmaa se jab zami par dekhta hoga

mere mahabub ko kisne banaya sochta hoga

khuda bhi aasmaa se 

farishte bhi yaha raato ko aakar ghumte hoge

jaha rakhti ho tum paaw, jagah wo chumte hoge

kisi ke dil pe kya guzri, ye wo hi janta hoga

khuda bhi aasmaa se jab zami par dekhta hoga

mere mahabub ko kisne banaya sochta hoga

khuda bhi aasmaa se

Explore this song